Sunday, September 4, 2016

kaash ek baar...

aaj aakhiri salaam bhi unhone kardiya,
apna karke fir tanha hai kardiya,
na kuch soche aur na kuch jaane bina,
pal bhar mei paraaya hai kardiya.

socha tha maine ke ab ni hoga jo hota raha,
yahi sochkar bas usi raah par main chalta raha,
kbhi apna to kabhi paraya mujhe chhhalta raha,
aur ye silsila yuhi ab bhi chalta raha.
socha ke is baar ujaale ki jagah andhkaar failaaunga,
par ye to diya tha, jalta rha aur raushan karta rha.

is chhoti si jindagi mei na kuch maanga tujhse,
fir is tarah bewajah kyun rootha mujhse.
na suna kuch aur na mauka diya,
mera ye haq to tu na chheenta mujhse.

tu khush kal bhi tha, tu khush aaj bhi hai,
jitna tujhe chaiye, vo sab tere paas hi hai.
door karne ke pehle tujhe sochna na pada jyada,
kyunki jungle mei laga peid hmaare liye sookhi ghaas hi hai.

tu thik apni naraajgi mei,
bas shikaayat itni se rehgayi,
bina kuch samjhe mujhe,
na-jaane kya kya kehgayi.

itna to bataakar jaata ke aisa gunaah kya maine kardiya,
baaki sab apnaakar, tune mujhe hi kinaara kyun kardiya.
ek tu hi tha jispar mujhe tha pura bharosa,
tune hi sath chhodkar ekdam besahara kyun kardiya.

mera kuch kehna shayad tujhe gawaara na lagaa,
jitna samjha mujhe, usse shayad main awaara hi lagaa,
tootate taare ko dekhkar maanga tha tu rahe hamesha,
par vo tootata taara bhi ek chalaava hi lagaa.

jaanta hu main bhi apni hadon ko,
ye tera jaanana bhi bahut jaruri hai.
jo tune socha, na tha waisa aur na hota kabhi,
ye baat tujh tak pahuchaana ab meri majburi hai.

laga ni tha tere liye ek pathhar banjaunga,
raah mei pda ek kaanta banjaunga.
ab teri marji hi hai mujhse door jaane ki,
to vaada hai mera, ke lautkar main bhi na kabhi aa paaunga.

ni socha tha fir bhi aankh namm hogyin,
tere jaate hi kitni khushiyaan kam hogayin.
na paaya tha tere jaisa koi,
chaahei kitni hi dhoop aur kitni hi barsaatein khatam hogayin.

dua aaj bhi wahi hai ke vo tere sath hi rahe,
jitni khushiyaan tujhe di, usse dugni aur deta rahe.
agar ho bhi jaaye tujhse koi galti kabhi,
to bas yuhi najar andaaj karke, maafi tujhe vo deta rahe.

jaate jaate ek vaada mujhse karjaana tu bhi,
apne chehre se muskaan ko na hatne dena kabhi.
aur haan,
Jaanle ke tujhe thi galatfehmi jo na sach hoti kabhi,
kaash ekbaar mujhe sunkar koshish to ki hoti,
to ye doori na hoti aaj aur na hoti kabhi.

Saturday, August 27, 2016

let me...

let me sleep if you don't have any words to say
let me sleep as this world for me is useless to stay.
let me be in silence as there's no one to hear
let me be still just like a statue made of a clay.

you were just a stranger
then we became hard friends.
all the time i just prayed
that our friendship never ends.

now lemme sleep in silence forever
i know u won't just wake me ever.
your hand is only i want to leave never
let our bond freeze here and stay in my memory forever.

in all of the turns, you are the most beautiful change
with you i got all happiness that was out of my range.
many things i have done, for them i have deep regrets
dont know how to face you now,
but your heart is the thing i can never forget.

day after day it may disslove away
i will glow now only with your ray.
with you i had all the colors,
now its just dull, black and grey.

Sunday, August 14, 2016

Ye Jindagi Aur Tu

ajeeb jindagi hai ye meri,
har baar doraahe par khada laa karti hai.
socho ke sab sukoon bhara lagta hai ab,
tabhi naye naye khel  khela ye karti hai.

naye naye raaste dikhaya ye karti hai,
naye logon se har roj milaaya ye karti hai.
rukjaata hai ye dil kahin jo kisi par,
to waqt ka pahiya ghuma ye diya karti hai.

tujhse mulaaqat bhi kuch isi tarah hui thi,
uswaqt ye jindagi bhi thodi roothi si hui thi.
tujhse milte hi aayi thi ek nayi jaan mujhme,
teri muskuraahaton se jindagi khili si hui thi.

ni jaanta tha ke itna bhaajaayega tu,
mere mann ko bepanaa lubhaa jaayega tu.
teri shararat aur nadaaniyo ki aisi jagah si bangyi hai
ke chaahakar bhi is dil se jaa naa paayega tu.

jab bhi yaad aati hai teri kisi baat ki,
jab bhi yaad aati hai tjhse hui har mulaaqat ki,
bas chehra ye mera ruk ni paata khilkhilaane se
jaise khushi milgayin ho mujhe duniya jahaan ki.

tujhe paane ki khushi hai ya tere jaane ka darr,
gumsum hai halaat, na jaane kaisi hai ye dagar.
chaahe koi ho uljhan ya koi bhi pareshaani,
maine hasne ka vaada tujhse kiya hai magar.

banna chahta tha teri har khushi ki vajah,
bas chahta tha tere dil mei chhoti si jagah.
hui ho khataa to bas maaf yuhi kardena,
mere liye to koi na lepaayega teri jagah.

bas ye hasi yuhi hamesha teri bankar rahe,
har pal ye tera yuhi khilkhilaata rahe.
mera hona na hona jaruri ni ye jaana maine bhi,
Dua hai itni ke tu pariyon se bhi jyada salaamat rhe.

muskura deta hu main bhi bas ye sochkar,
bhulunga na tjhe kitna bhi door hokar.
agar paaya khud ko maine tere rone ki vajah,
chalajaaunga tujhse door bina kuch sune aur na kuch bolkar.

Thursday, August 4, 2016

Keh Bhi Na Saku Aur Reh Bhi Na Saku

ab tujhse kya main kahu,
bin kahe bhi kaise main rahu?
ajib kashmkash si hai ye bhi meri,
ke Laaun jubaa par ya dil mei hi rakhu?
aksar mujhe pareshan is khyaal ne hai kiya,
par har baar khud ko sambhaal hai liya,
suraj aur roshni ki tarah tu mila hua hai sabse,
us sooraj ko poonchu ya roshni se sawaal main karu?
tu hai itna khaas ke hava ka bhi tujhe chhoona mjhe gavaara ni,
tu na ho sath to jannat ka koi bhi najaara ni.
maana tujhse main thoda der se mila hu,
par tujhse milkar kya khoob main khila hu.
Haan jaanta hu bahut hain hath tujhe sambhalne ke liye,
lekin agr main toota to tere siva koi sahara ni.
lagta hai jaise tujhse kitne janmo se naata hai,
par waqt ka kya, vo to aata hai aur jaata hai.
tujhe chhoone vaali har kiran mere dil ko jalati hai,
ab dil to dil hai, use kahan kuch baat samajh aati hai.
tujhe khone ke darr se tera na milna hi sahi tha,
rone ke darr se mera na hasna hi sahi tha.
tere rang mei rangne mei majaa to khoob aaya,
par shayad us rang mei main rang na paaya.
chaaha tha jo vo sab poora sa hogya,
par itna milkar bhi tujhse main kuch door sa hi rehgya.
tere labon par saje ye hasi, wajah main banu,
tere aankhon mei ho chamak, wajah m banu.
kuch na kahunga kabhi jo tujhe dukh pahuchaaye,
nahin laaunga jubaan par chaahe mera tan-mann kyu na taras jaaye.
bas tujhse aisa rishta sa bangya hai,
ek anokha tohfa sa milgya hai.
Karta hu khuda se gujaarish ke tujhe har khushi main hi dilaaun,
na bana paaun jagah tujhme, to khud main hi kahin chalajaun...


Thursday, July 14, 2016

ye mausam

ye baarish aur ye thandi hawaayein,
yahan se door kahin mujhe le jaayein.
ho ab ek khushiyon ka savera,
aur gham ki raatein kabhi na laut paayein.

baarish ki har boond mujhe teri hi yaad dilaati hai,
yaad teri aate hi mera rom rom mehka sa jaati hai,
maana hai door mujhse tu bhi abhi,
par ye hawaayein mujhe tera hi ehsaas karaati hain.

tere sath hi baarish mei bheega karti main,
tera sath hi in hawaaon mei jhooma karti main.
satati jo teri yaad kabhi mujhe agar,
in baarishon ka hi intezaar kiya karti main.

teri tarah hi baarish ke paani ka mujhe yu chhoona,
tujhe paakar pta chala kinti khush naseeb main hu na.
yahi mausam tujhko meri yaad dilaayega har waqt,
agr kisi roj tere paas jo main rahun na.

ye chaand jo baadalon se jhaank rha hai,
tere masoom chehre ki yaad dila rha hai,
ye hawaaon mei kaisi khushboo si hai faili,
hua ehsaas jaise tu mere kareeb aa rha hai.

le chal mujhe kahin haathon mei hath lekar,
is mausam ka ehsaas apne sath lekar.
mujhe ni koi shikvaa is zamaane se qki,
ab rehna main chaahu bas teri hi bankar.

Saturday, June 25, 2016

...Kuch aur tha

andhere mei anjaani si raahon par chalne ka mazaa hi kuch aur tha,
un raahon par tere sath hone ka sirf ehsaas hi kuch aur tha.
yu to tera mujhe na milna muqaddar hai mera,
par tujhe paane ki hasrat ka mazaa hi kuch aur tha.
tere deedar ko bechain sa rehta tha main,
apne ikraar ko bekaraar sa rehta tha main.
yu to tere khwaab se neend saj jaya karti thi meri,
par teri yaad mei raat bhar jaagne ka luft hi kuch aur tha.

mere kore kaagajon par jo geet tune likh diye hain,
is ek jindagi mei rang jo tune bhar diye hain,
tu mere hath mei hokar bhi meri lakeeron mei nahin hai,
par teri pehchaan ne mere sapne khushi se bhar diye hain.

meri is jubaan ko koi samajhta hi nahin,
haalat-ae-dil ko koi boojhta hi nahin,
sazaa mil rahi uski jo khata maine ki hi nahin,
dil ki kitaab bhari to hui hai puri,
par padhne ko usme kuch bhi nahin.

yu to tujhe dekhne ka junoon hi kuch aur tha,
tujhse roj milne ka suroor hi kuch aur tha.
jabse jaana teri manjil tune kisi aur ko hai mana,
tabse maana tujhse sab kuch chhupakar rakhne mei sukoon hi kuch aur tha.
darta tha main ke koi dukh na pahuche tujhe,
chahta tha ye ke sirf khushi hi chhoo paaye tujhe.
yu to tujhse saamne se milne ki baat hi kuch aur hai,
par tujhko chhup chhupkar dekhne ka sukoon hi kuch aur tha.

Tuesday, June 21, 2016

Vo Pehli Bar...

dekha tha jisdin tujhe, dhadkan ye meri tham si gayi thi,
sooiyaan bhi ye ghadi ki, wahin ki wahin ruk si gayin thi.
na thi koi hulchul, na dil ko tha koi ehsaas;
Jaana maine bhi ke saansein ye meri tham si gayin thi.

ufff kya sukoon tha teri in aankhon mei,
ufff kya junoon tha teri un baaton mei,
kuch to kashish jarur thi tujhme,
jo bichaaye rehta tha palkein main bhi teri raahon mei.

chhup chhupke mera tujhko yu nihaarna,
aur dekhkr tjhko, mera ye muskuraana,
krta tha koshish is dil ko smbhaalne ki,
pr dil bhi ye gaata tha bas tera hi fasaana.

kabhi mila tujhe bnaane vala agr mjhe,
us banaane vaale ke haath b m choomlu,
ni milega tujhse sundar aur haseen,
duniya to qa, main chaahein puri jannat bhi dhundlu.

yaad h vo din jab tujhe pehli baar maine paaya tha,
itna haseen vo lamha, jo main bhool na paaya tha.
milkar tjhse lga ye mere dil ko,
upar vaale ne b tjhe, bas mere liye hi bnaaya tha.

tu na hota tha to tere saaye ko jiya krta tha,
apne is dil ko bas chhupke se smjhaaliya karta tha.
maalum tha ke tujhe paane ki khwaayish rahegi adhuri,
fir b ye dil bas tujhpe hi jaan diya karta tha.

tu vo khushi hai jise main jee na saka,
tu vo gham hai jise main pee na saka,
itna kch hai tjhse kehne ko lekinn,
apne dil ki jubaa aadhi bhi main yahan likh na sakaa.

tera sath hi meri taakat hai ab,
teri khushi hi meri ibadat hai ab,
tujhe paakar maine paaya hai sab,
tu hi hai khuda aur tu hi mera hai rab.

Thursday, June 16, 2016

Darr Lagta Hai...

Khushi se muskuraane mei ab to darr lagta hai.
Haske khilkhilaane mei ab to darr lagta hai.
Pal do pal ki muskurahat k baad chhin jaata h sab,
ab to is khushi ke pal se bhi darr lagta hai.

Kuch paane se pehle use kho dene ka darr lagta hai.
Use kho dene se jyada use bhuladene ka darr lagta hai.
Banaadete hain log anjaana pal bhar mei hi,
ab to kisiko bhi apna bnaane se darr lagta hai.

Gairon ki dushmani ni, apno ki nafrat se darr lagta hai.
Is anjaan si duniya mei akele chalne se darr lagta hai.
Dukh de jaate hain log 'Apno' ke mukhaute mei,
ab to apno se dil ki baat karne mei bhi darr lagta hai.

Sunahere sapne ke waqt neend tootjane se darr lagta hai.
Aankhein khulte hi is sachhai ko apnaane se darr lagta hai.
Bahut hain umeedein mujhse aur bahut hain sapne,
Un sab ke toot jaane ke khyaal se hi darr lagta hai.

Dil ki baatein kisiko bataane mei darr lagta hai.
Kisiko bhi apna banane mei darr lagta hai.
Ye falsafa hai mera aur meri hai kahaani,
Is baat ko bhi apnaane mei ab to darr lagta hai.

Thursday, June 9, 2016

Ankahi Kahaani

Chal tujhe aaj ek kahani sunaata hu,
Us kahaani mei tujhe ek pari se milaata hu,
Aayi hai vo kahin door jannat se,
Isiliye use hi bas main apne khwaabon mei sajaata hu.

Aaj milaata hu tjhe haseen ek pari se,
Jisse judgya hai dil ye mera ek kadi se.
Rehti hai vo kahin door jahaan mei,
Befikar udti hai vo is khulle aasmaan mei.

Uski har adaa jaise fursat se taraashi gyi hai,
Uski ye bholi si soorat, jaise motiyon se nakaashi gyi hai.
Khushboo ye uski kuch aisi hai faili,
Ki saansein bhi meri kch behek si gayin hain.

Uska aana jaise khuda ka ek tohfa sa hai,
Mjhse milna jaise rab ka ek ishaara sa hai,
Bhoola tha main apne aap ko hi kahin,
Uske ehsaas ne jinda mujhme kuch kiya sa hai.

Uski muskuraahat jaise ek hawa si hai,
Isi hawa mei roj main bahaa karta hu,
Uska chehra jaise ek raushni si hai,
Usi raushni mei roj jiya main krta hu.

Uske hone ka ehsaas hi mere jeene k liye kaafi hai,
Uska ek hath hi mere sambhalne k liye kaafi hai,
Hui jo usse kabhi koi khataa agar,
Us khata ke liye, us khuda se bhi usko maafi hai.

Ekdin usne mujhse sawaal ek kiya tha,
Ghabrate hue sharmate hue mere dil ko chhooliya tha,
Vo boli haseen chehre to bht h is jahaan mei, 
fir maine apna dil bas use hi q diya tha?

M thoda muskuraaya, thoda sharmaaya, thoda ghabraaya
aur fir use samjhaaya:

Tere chehre se ni, tere dil se kch rishta sa hai,
Tu us uparvaale ka, pyaara ek farishta sa hai,
Teri khoobsurti hai bemisaal maana ye maine bhi,
Par meri in aankhon mei bas ek tera chehra hi jachta hai.

Koi sarhad ni tujhse pyaar nibhaane ke liye,
Puri duniya bhi hai kam apna pyaar dikhane ke liye,
Teri aankh se ek aansu bhi jo gira kbhi,
Apni jaan bhi dedunga tere hothon pr hasi sajaane k liye.

Mere khwaabon mei tera chehra ye roj aata hai,
Tere aate hi mera dil bhi ye fir so na paata hai,
Jo keh ni sakta tere saamne main kbhi,
Vo saari baatein tujhe apne sapne mei btata hai.

Aankh khulte hi tu kahin chala sa jaata hai,
Fir dil ye mera reh tanha sa jaata hai,
Rehjaati hain sirf teri baatein aur yaadein,
Sab mere hath se fisal sa jaata hai.

Bas ek chhoti si khwaaish thi meri,
Tu hmesha bankar rahe bas meri,
Maanga jo tune mujhse ye jahan bhi,
Tere kadmo mei hogi, duniya ye meri.

Ye kehne ki himmat bhi na thi mujhme kabhi,
Kehta hu tujhse main bas yahi,
Kardena maaf is massom se dil ko,
Tujhe chahne ki khataa jo isne ki hai abhi.

Thursday, February 11, 2016

Aaj Fir Lauta Hai Vo

Rehmat hai teri, ya kahu teri khudaai,
Jo usse meri mulaqat, tune firse hai karaai.

Rootha tha mujhse vo na-jaane kisliye,
Bhoola the jeena, main bhi kuch isliye.
Tu tha to itni raunak si thi,
Tu tha to kitni ummedein si thi,
Hai aitbaar mujhe meri mohabbat par,
Khuda ne bhi firse milaya hai kuch isliye.

Teri yaad mei teri tasveer ko hi nihaarta tha,
Sirf usise baatein main kiya karta tha,
Teri tasveer ko hi mei dil mei sajaya karta tha,
Tu hi kabhi mujhe hasaya to kabhi rulaya karta tha.

Yaad hai mujhe har vo baat, jo tujhe hasaya karti thi,
Yaad hai teri vo khushbu jisse meri jindagi mehak jaya karti thi.

Gaya tha door tu na-jaane kyun,
Is dil mei utha tha ek dard na-jaane kyun,
Tha tu bhi udaas na-jaane kyun,
Fir bhi thi is dil ko ek aas na-jaane kyun.

Teri parchhai ko hi maine jeene ka sahara banaya,
Bikharte lamho ko ek dor mei sajaya,
Bas ek hi savaal is dil ne bar bar uthaya,
Kyun apna banakar tune, anjaana banaya.

Khudme hi tujhe main dhunda karta tha,
Khudme hi tujhse baatein kiya karta tha,
Umeed thi ke tu aayega ekdin,
Meri jindagi firse khushnuma banayega ekdin.

Bas karta hu dua ke hamesha mera bankar hi rehna,
Ae khuda, mujhe tujhse kuch aur ni hai kehna.
Nahin reh sakta main apne yaar ke bina,
Kuch bhi nahin hu uske pyaar ke bina.

Ab aaye ho to isbaar door na jaana,
Jaao to meri jaan bhi sath lejaana.
Tere bina hu main bilkul adhoora,
Bharle apni baahon mei aur karde mujhe poora.

Door tujhse main ab reh na paaunga,
Tere bina yaar main jee na paaunga,
Tu hi hai meri mohabbat, tujhse hi hai ab sab aas,
Rakhle chhupakar mujhe kahin apne dil ke paas.