Saturday, June 25, 2016

...Kuch aur tha

andhere mei anjaani si raahon par chalne ka mazaa hi kuch aur tha,
un raahon par tere sath hone ka sirf ehsaas hi kuch aur tha.
yu to tera mujhe na milna muqaddar hai mera,
par tujhe paane ki hasrat ka mazaa hi kuch aur tha.
tere deedar ko bechain sa rehta tha main,
apne ikraar ko bekaraar sa rehta tha main.
yu to tere khwaab se neend saj jaya karti thi meri,
par teri yaad mei raat bhar jaagne ka luft hi kuch aur tha.

mere kore kaagajon par jo geet tune likh diye hain,
is ek jindagi mei rang jo tune bhar diye hain,
tu mere hath mei hokar bhi meri lakeeron mei nahin hai,
par teri pehchaan ne mere sapne khushi se bhar diye hain.

meri is jubaan ko koi samajhta hi nahin,
haalat-ae-dil ko koi boojhta hi nahin,
sazaa mil rahi uski jo khata maine ki hi nahin,
dil ki kitaab bhari to hui hai puri,
par padhne ko usme kuch bhi nahin.

yu to tujhe dekhne ka junoon hi kuch aur tha,
tujhse roj milne ka suroor hi kuch aur tha.
jabse jaana teri manjil tune kisi aur ko hai mana,
tabse maana tujhse sab kuch chhupakar rakhne mei sukoon hi kuch aur tha.
darta tha main ke koi dukh na pahuche tujhe,
chahta tha ye ke sirf khushi hi chhoo paaye tujhe.
yu to tujhse saamne se milne ki baat hi kuch aur hai,
par tujhko chhup chhupkar dekhne ka sukoon hi kuch aur tha.

No comments:

Post a Comment