Sunday, August 14, 2016

Ye Jindagi Aur Tu

ajeeb jindagi hai ye meri,
har baar doraahe par khada laa karti hai.
socho ke sab sukoon bhara lagta hai ab,
tabhi naye naye khel  khela ye karti hai.

naye naye raaste dikhaya ye karti hai,
naye logon se har roj milaaya ye karti hai.
rukjaata hai ye dil kahin jo kisi par,
to waqt ka pahiya ghuma ye diya karti hai.

tujhse mulaaqat bhi kuch isi tarah hui thi,
uswaqt ye jindagi bhi thodi roothi si hui thi.
tujhse milte hi aayi thi ek nayi jaan mujhme,
teri muskuraahaton se jindagi khili si hui thi.

ni jaanta tha ke itna bhaajaayega tu,
mere mann ko bepanaa lubhaa jaayega tu.
teri shararat aur nadaaniyo ki aisi jagah si bangyi hai
ke chaahakar bhi is dil se jaa naa paayega tu.

jab bhi yaad aati hai teri kisi baat ki,
jab bhi yaad aati hai tjhse hui har mulaaqat ki,
bas chehra ye mera ruk ni paata khilkhilaane se
jaise khushi milgayin ho mujhe duniya jahaan ki.

tujhe paane ki khushi hai ya tere jaane ka darr,
gumsum hai halaat, na jaane kaisi hai ye dagar.
chaahe koi ho uljhan ya koi bhi pareshaani,
maine hasne ka vaada tujhse kiya hai magar.

banna chahta tha teri har khushi ki vajah,
bas chahta tha tere dil mei chhoti si jagah.
hui ho khataa to bas maaf yuhi kardena,
mere liye to koi na lepaayega teri jagah.

bas ye hasi yuhi hamesha teri bankar rahe,
har pal ye tera yuhi khilkhilaata rahe.
mera hona na hona jaruri ni ye jaana maine bhi,
Dua hai itni ke tu pariyon se bhi jyada salaamat rhe.

muskura deta hu main bhi bas ye sochkar,
bhulunga na tjhe kitna bhi door hokar.
agar paaya khud ko maine tere rone ki vajah,
chalajaaunga tujhse door bina kuch sune aur na kuch bolkar.

No comments:

Post a Comment