Monday, January 22, 2018

Jaruri to na tha...


Aate hain aneik khayaalaat is mann mei aksar,
Kar jaate hain vichlit mujhko vo aksar,
Par har khayaal ko dil se lagaana jaruri to na tha,
Yuhi ki thi gustaakhi sochkar tujhe apna banaane ka,
Par us gustakhi ka jikra tujhse karna jaruri to na tha.

Katgyi thi dor is patang ki bhi kabhi kisi roj,
Khule aasmaa mei hawa ke sath chali jaa rahi thi,
Mili thi ek manzil tujhe dekhkar ise,
Tujhe bas ek dor se isko baandhna hi to tha.

Ghazab hain ye jindagi ke khel bhi janaab,
Kareebon ko jaanane ke liye door jaana hi padta hai,
Keh diye hote do shabd meri tareef mei yuhi tumne bhi,
Yuhi meri maut ki afvaah failaana jaruri to na tha.

Yun to beshumaar vichaaron ka mela laga hai,
Shabdon ka bhi mere paas ek bharpoor samaa hai,
Likhne ko to alfaaz kam padjaayein is jahaan ke,
Par har jajbaat ko akaar dena jaruri to na tha...

No comments:

Post a Comment