Sunday, June 24, 2018

Yaad karliya karta hu...

Haseen tha vo waqt jab Raat ko neend chein ki aaya karti thi,
Ab sirf kal Subha ki daud ki taiyaari kiya karta hu...
Khushi alag hi ek nayi Subha ki hoti thi,
Ab sirf shaam dhalne ka intejaar kiya karta hu...
Boldiya karta tha har ek baat tab main kisise bhi,
Ab sahi waqt ka intejaar main kiya karta hu...
Kamjori tab sirf ek shareer ke liye hua Karti thi,
Aaj apne jajbaaton se khilvaad main kiya karta hu...
Tab mere gaaon ki mitti mei bhi ek alag hi mehak hua karti thi,
Ab is sheher ki dhool se door bhaag jaaya main karta hu...
Hoti thi hazaar baatein Aur dost bhi anginat tab,
Ab baatein to hain par sunane k liye doston ka intejaar main kiya karta hu...
Tab bojh sirf school ke basste ka hua karta tha,
Aaj jimmedaariyon ko apne sath lekar main chalta hu...
Tab dikhti thi chot to sabke saamne ro liya main karta tha,
Ab chhupi hua dard lekar akele Mei Mann halka karliya karta hu...
Tab darr tha Raat ke andhere Mei kahin kho jaane ka,
Ab din ke ujaale mei bhi kho main kahin jaaya karta hu...
Tab maa baap ki shakal dekhe bina sukoon ni milta tha,
Aaj unko dekhkar chhup main jaaya karta hu...
Sukoon bhara tha har ek pal jab koi fikar ni kisiki thi,
Ab sirf unko yaad karke khush main ho liya karta hu...

Kahan gye vo din, unhe yaad main bahut kiya karta hu...

Tuesday, April 10, 2018

Ji chahta hai...

Sab vyasst hain na jaane kis jahan mei,
Sab ko hasi se rubaru karaane ko ji chahta hai,
Na waqt hai na jindagi,
Pal do pal ki saans lene ko ji chahta hai.

Thakgya nakli muskaan se,
Ab khilkhilaa ke hasne ko ji chahta hai,
Par fasjaata hai jaakar kahin na kahin ye mann,
In sbse azaad hokar udne ko ji chahta hai.

Bhale hi na rhe sath kisi ka,
Par dikhaave se bachkar rehne ko ji chahta hai,
Hogyi hai thakaan ek raushni ki kiran dhundte dhundte,
Ab is dhundli si duniya mei kho jaane ko ji chahta hai...

Tuesday, February 27, 2018

Tujhe bas itna karna hai...

ruk na bande tujhe darr kis baat ka hai,
galat tu ni, bas farak ye haalat ka hai,
dukh ki kadar itni mat kar apni jindagi mei,
keemat to bas khushiyon ke sath ka hai.

Kismat kise kehte hain kya jaanta hai tu!
kabhi bhook se rote hue bachhe ko dekha hai?
Agar kehta hai apni kismat ko kharaab tu,
Kabhi baarish se bachte beghar logon ko dekha hai?

Agar na ho khushi tujhe apni jindagi se mere dost,
to kisi majdoor ko ek waqt ki roti khaate hue dekhna,
na mile sukoon tujhe fir bhi agar,
kisi apaahich ki ekdin ki jindagi bitaakar dekhna.

sab hote hue bhi kyu tu rota hai,
shukar kar us rab ka jo tu araam se ghar mei sota hai,
agar khush na ho us neend se tu apni,
to ek raat sadak kinaare sokar dekhna
jab na hoga pata subha uthne ka,
us raat ek ghante ki hi neend ke sukoon ko dekhna.

Jyada ni, karna tujhe bas itna hai,
Liye pyaari muskaan yuhi bas chalna hai,
khushi se jagmag pure jahan ko karna hai,
rote hue aaye hoge tum is duniya mei magar,
vaada kar khudse ke haste hue marna hai.
-dk

Monday, January 22, 2018

Jaruri to na tha...


Aate hain aneik khayaalaat is mann mei aksar,
Kar jaate hain vichlit mujhko vo aksar,
Par har khayaal ko dil se lagaana jaruri to na tha,
Yuhi ki thi gustaakhi sochkar tujhe apna banaane ka,
Par us gustakhi ka jikra tujhse karna jaruri to na tha.

Katgyi thi dor is patang ki bhi kabhi kisi roj,
Khule aasmaa mei hawa ke sath chali jaa rahi thi,
Mili thi ek manzil tujhe dekhkar ise,
Tujhe bas ek dor se isko baandhna hi to tha.

Ghazab hain ye jindagi ke khel bhi janaab,
Kareebon ko jaanane ke liye door jaana hi padta hai,
Keh diye hote do shabd meri tareef mei yuhi tumne bhi,
Yuhi meri maut ki afvaah failaana jaruri to na tha.

Yun to beshumaar vichaaron ka mela laga hai,
Shabdon ka bhi mere paas ek bharpoor samaa hai,
Likhne ko to alfaaz kam padjaayein is jahaan ke,
Par har jajbaat ko akaar dena jaruri to na tha...