Wednesday, November 8, 2017

Chhayi hai dhundh...

Dhundh ye mausam ki hai ya teri soch par kuch chhaya hai?
Badalgyi hai shaksiyat teri ya kisi ka koi saaya hai?
kaisi ye kashmakash mei fasi hai meri kashti,
Pataani tu kuch kho rha hai ya tune kuch paaya hai!!

Chhaane laga hai rishton mei bhi kuch dhhuaan jaisa,
Na chaaha tha kabhi ho aur na socha tha kabhi hoga aisa,
Sirf ek baat gholdeti hai kadvaahat rishton mei,
Na-jaane kya waqt kabhi aayega lautkar pehle jaisa.

Jahaan rehti thi har waqt roshni sooraj ki dhhoop se,
Wahan ab sirf ek garmaahat hi rehgyi hai.
Hota tha mujhe bhi guroor kabhi us ujaale par,
Wahan bas ek bhujti si kiran hi rehgyi hai.

Kiye jatann itne ke mithaas vo abhi bhi bani rhe,
Na toote ye rishta, vo dor abhi bhi bandhi rahe.
Ye jaana lekin maine bhi ae dost,
Jhakhm goli ke bharte hain, boli ke nahin,
Laakh ghol lo shehad ab jindagi mei,
par ek kadvaahat si to reh hi gyi hai.

No comments:

Post a Comment