Sunday, November 26, 2017

Ae dost teri dosti...

Ae dost teri dosti ke kaise ye rang,
Na aati thi saans jo tu hota na tha sang.
Yu to hai bitaate hain zindagi samajhdaaro ki tarah,
Lekin mzaa aata tha tabhi jab krte thei tujhe tang.

Tere liye jaan apni main nyochhaavar kiya karta tha,
Samajh jaata tha har baat, jo tu kaha bhi na karta tha.
Tere har gham ko samajhkar dukh main apna,
Har mod par sath tera diya main karta tha.

Bas teri ek yaari hi mujhko sabse pyaari thi,
Ye dor na toote bas ye dua hamesha hamaari thi.
Waqt tha bura ya kehlo hum thei bure,
But mere dost tujhse meri bahut dildaari thi.

Tu nikalgya shayad aage kahin mujhse bahut, 
Kyuki dosti mei mujhe hoshiyaari ni aati.
Beshaq na samjhe mere jajbaaton ko koi,
Par kya kru dost, mujhe gaddari ni aati.

Jhakhm ye goli ka hota to chaljaata,
par boli ke ghaav bharte nahin.
Yaari to hamaari basti thi dilon mein,
Gairon se bhi koi aise karta nahin.

Maana hazaaron hain tere chaahne vaale,
Hum bhi usme hain aur pehle bhi hua karte thei.
Yaari ki misaalein aisi thi hmaari,
Ke duniya mei tere mere charche hua yu karte thei.

Ghamannd kiya maine,
par teri dosti par kiya,
apni dosti mei ni kiya.
Tu hoga shayad sahi apni jagah,
par hai bharosa mujhe bhi khudpar,
ke maine bhi isbaar kuch galat ni kiya. 

Agar ye dosti ki dor kisi vajah se tooti hai,
To nuksaan mera ni, viraasat ye teri luti hai.
Kabhi waqt aayega jab tujhe ye ehsaas hoga shayad,
Ke teri kitni anmol cheej tujhse ye chooti hai.

Wednesday, November 8, 2017

Chhayi hai dhundh...

Dhundh ye mausam ki hai ya teri soch par kuch chhaya hai?
Badalgyi hai shaksiyat teri ya kisi ka koi saaya hai?
kaisi ye kashmakash mei fasi hai meri kashti,
Pataani tu kuch kho rha hai ya tune kuch paaya hai!!

Chhaane laga hai rishton mei bhi kuch dhhuaan jaisa,
Na chaaha tha kabhi ho aur na socha tha kabhi hoga aisa,
Sirf ek baat gholdeti hai kadvaahat rishton mei,
Na-jaane kya waqt kabhi aayega lautkar pehle jaisa.

Jahaan rehti thi har waqt roshni sooraj ki dhhoop se,
Wahan ab sirf ek garmaahat hi rehgyi hai.
Hota tha mujhe bhi guroor kabhi us ujaale par,
Wahan bas ek bhujti si kiran hi rehgyi hai.

Kiye jatann itne ke mithaas vo abhi bhi bani rhe,
Na toote ye rishta, vo dor abhi bhi bandhi rahe.
Ye jaana lekin maine bhi ae dost,
Jhakhm goli ke bharte hain, boli ke nahin,
Laakh ghol lo shehad ab jindagi mei,
par ek kadvaahat si to reh hi gyi hai.