Sunday, November 26, 2017

Ae dost teri dosti...

Ae dost teri dosti ke kaise ye rang,
Na aati thi saans jo tu hota na tha sang.
Yu to hai bitaate hain zindagi samajhdaaro ki tarah,
Lekin mzaa aata tha tabhi jab krte thei tujhe tang.

Tere liye jaan apni main nyochhaavar kiya karta tha,
Samajh jaata tha har baat, jo tu kaha bhi na karta tha.
Tere har gham ko samajhkar dukh main apna,
Har mod par sath tera diya main karta tha.

Bas teri ek yaari hi mujhko sabse pyaari thi,
Ye dor na toote bas ye dua hamesha hamaari thi.
Waqt tha bura ya kehlo hum thei bure,
But mere dost tujhse meri bahut dildaari thi.

Tu nikalgya shayad aage kahin mujhse bahut, 
Kyuki dosti mei mujhe hoshiyaari ni aati.
Beshaq na samjhe mere jajbaaton ko koi,
Par kya kru dost, mujhe gaddari ni aati.

Jhakhm ye goli ka hota to chaljaata,
par boli ke ghaav bharte nahin.
Yaari to hamaari basti thi dilon mein,
Gairon se bhi koi aise karta nahin.

Maana hazaaron hain tere chaahne vaale,
Hum bhi usme hain aur pehle bhi hua karte thei.
Yaari ki misaalein aisi thi hmaari,
Ke duniya mei tere mere charche hua yu karte thei.

Ghamannd kiya maine,
par teri dosti par kiya,
apni dosti mei ni kiya.
Tu hoga shayad sahi apni jagah,
par hai bharosa mujhe bhi khudpar,
ke maine bhi isbaar kuch galat ni kiya. 

Agar ye dosti ki dor kisi vajah se tooti hai,
To nuksaan mera ni, viraasat ye teri luti hai.
Kabhi waqt aayega jab tujhe ye ehsaas hoga shayad,
Ke teri kitni anmol cheej tujhse ye chooti hai.

Wednesday, November 8, 2017

Chhayi hai dhundh...

Dhundh ye mausam ki hai ya teri soch par kuch chhaya hai?
Badalgyi hai shaksiyat teri ya kisi ka koi saaya hai?
kaisi ye kashmakash mei fasi hai meri kashti,
Pataani tu kuch kho rha hai ya tune kuch paaya hai!!

Chhaane laga hai rishton mei bhi kuch dhhuaan jaisa,
Na chaaha tha kabhi ho aur na socha tha kabhi hoga aisa,
Sirf ek baat gholdeti hai kadvaahat rishton mei,
Na-jaane kya waqt kabhi aayega lautkar pehle jaisa.

Jahaan rehti thi har waqt roshni sooraj ki dhhoop se,
Wahan ab sirf ek garmaahat hi rehgyi hai.
Hota tha mujhe bhi guroor kabhi us ujaale par,
Wahan bas ek bhujti si kiran hi rehgyi hai.

Kiye jatann itne ke mithaas vo abhi bhi bani rhe,
Na toote ye rishta, vo dor abhi bhi bandhi rahe.
Ye jaana lekin maine bhi ae dost,
Jhakhm goli ke bharte hain, boli ke nahin,
Laakh ghol lo shehad ab jindagi mei,
par ek kadvaahat si to reh hi gyi hai.

Sunday, August 13, 2017

Ye Zindagi...

kya hai ye jindagi, bas kuch palon ka khel
kya hai ye rishte, bas kuch dilon ka mel.
Fir kyu udaasi ke palon mei apni jindagi bitaaye jaa rha hai,
Fir kyu yahan aakar bhi akele hi gumnaami mei jiye jaa rhe hai.

Kabhi dekh ek jhalak apni jindagi ko palat kar tu,
Vo khushi ke geet gunguna rahi hai.
Kabhi sun ruk kar uski avaaj ko bhi tu,
Vo paas apne bula rhi hai.

Kyu tere hasne par bhi itne savaal hai,
Kyu tera jeena bhi itna behaal hai.
Tujhe dekhkar bhi ye duniya hairaan hai,
Chehre se haskar bhi dil se tu kyu pareshaan hai. 

Jaa udne de apni saari umeedon ko tu,
Jaa jalne de apne saare angaaron ko tu.
Fir dekh sab unchaaiyon ko chuyega tu,
Khud se bhi aage ekdin badhega tu.
Bataade sabko jo bhi tune dil mei rakha hai,
Dikhaade sabko jo bhi tune khud se seekha hai.
Mat de khudko daga tu ye tere imaan hai,
Kyu rakhta hai sabkuch samet kr apne seene mei,
Teri aankhein ye tujhse bhi jyada beimaan hain.

Saturday, February 11, 2017

Ek sawaal...

yahi khayaal reh rehkar dil mei kyu aata hai?
kya hai vo jo akela sa tujhe kar jaata hai?
bahut chaaha javaab iska dhoondu magar,
ye sawaal bas ek sawaal bankar hi rehjaata hai.

sab kuch hokar bhi kya kami rehjaati hai?
jo ye hasi aakar baar baar lautjaati hai.
kitna bhi sakhht bahar sekarle tu khudko magar,
kuch to baat hai andar, jo tujhe bar bar sataati hai.

khud se yuhi kabhi baat karke dekha maine.
ek alag se jahaan mei khud ko lejaakar dekha maine.
socha ke nayi raah shayad aaj milegi mujhe,
lekin fir bhi toofaano mei khudko uljha dekha maine.

yaad to sab aata hai ab bhi magar,
lekin dil na jaata hai ab us dagar.
lekin jab bhi udaasi chhati hai firse,
yaad aata hai sirf tera hi nagar.

ye jaruri to nahin har khwaaish puri hoti ho.
har kisise door jaane ki hmaari majburi hoti ho.
mat ghabra qki,
ek tu hi ni hai is duniya mei aisa,
jiski har ek kahaani adhuri hi rehti ho.

akela tera jahan hai aaj to kya hua,
puchne vala koi na paas hai to kya hua.
karle khud se hi do meethi baatein tu aaj,
dil ye tera udaas hai to kya hua.