Saturday, June 25, 2016

...Kuch aur tha

andhere mei anjaani si raahon par chalne ka mazaa hi kuch aur tha,
un raahon par tere sath hone ka sirf ehsaas hi kuch aur tha.
yu to tera mujhe na milna muqaddar hai mera,
par tujhe paane ki hasrat ka mazaa hi kuch aur tha.
tere deedar ko bechain sa rehta tha main,
apne ikraar ko bekaraar sa rehta tha main.
yu to tere khwaab se neend saj jaya karti thi meri,
par teri yaad mei raat bhar jaagne ka luft hi kuch aur tha.

mere kore kaagajon par jo geet tune likh diye hain,
is ek jindagi mei rang jo tune bhar diye hain,
tu mere hath mei hokar bhi meri lakeeron mei nahin hai,
par teri pehchaan ne mere sapne khushi se bhar diye hain.

meri is jubaan ko koi samajhta hi nahin,
haalat-ae-dil ko koi boojhta hi nahin,
sazaa mil rahi uski jo khata maine ki hi nahin,
dil ki kitaab bhari to hui hai puri,
par padhne ko usme kuch bhi nahin.

yu to tujhe dekhne ka junoon hi kuch aur tha,
tujhse roj milne ka suroor hi kuch aur tha.
jabse jaana teri manjil tune kisi aur ko hai mana,
tabse maana tujhse sab kuch chhupakar rakhne mei sukoon hi kuch aur tha.
darta tha main ke koi dukh na pahuche tujhe,
chahta tha ye ke sirf khushi hi chhoo paaye tujhe.
yu to tujhse saamne se milne ki baat hi kuch aur hai,
par tujhko chhup chhupkar dekhne ka sukoon hi kuch aur tha.

Tuesday, June 21, 2016

Vo Pehli Bar...

dekha tha jisdin tujhe, dhadkan ye meri tham si gayi thi,
sooiyaan bhi ye ghadi ki, wahin ki wahin ruk si gayin thi.
na thi koi hulchul, na dil ko tha koi ehsaas;
Jaana maine bhi ke saansein ye meri tham si gayin thi.

ufff kya sukoon tha teri in aankhon mei,
ufff kya junoon tha teri un baaton mei,
kuch to kashish jarur thi tujhme,
jo bichaaye rehta tha palkein main bhi teri raahon mei.

chhup chhupke mera tujhko yu nihaarna,
aur dekhkr tjhko, mera ye muskuraana,
krta tha koshish is dil ko smbhaalne ki,
pr dil bhi ye gaata tha bas tera hi fasaana.

kabhi mila tujhe bnaane vala agr mjhe,
us banaane vaale ke haath b m choomlu,
ni milega tujhse sundar aur haseen,
duniya to qa, main chaahein puri jannat bhi dhundlu.

yaad h vo din jab tujhe pehli baar maine paaya tha,
itna haseen vo lamha, jo main bhool na paaya tha.
milkar tjhse lga ye mere dil ko,
upar vaale ne b tjhe, bas mere liye hi bnaaya tha.

tu na hota tha to tere saaye ko jiya krta tha,
apne is dil ko bas chhupke se smjhaaliya karta tha.
maalum tha ke tujhe paane ki khwaayish rahegi adhuri,
fir b ye dil bas tujhpe hi jaan diya karta tha.

tu vo khushi hai jise main jee na saka,
tu vo gham hai jise main pee na saka,
itna kch hai tjhse kehne ko lekinn,
apne dil ki jubaa aadhi bhi main yahan likh na sakaa.

tera sath hi meri taakat hai ab,
teri khushi hi meri ibadat hai ab,
tujhe paakar maine paaya hai sab,
tu hi hai khuda aur tu hi mera hai rab.

Thursday, June 16, 2016

Darr Lagta Hai...

Khushi se muskuraane mei ab to darr lagta hai.
Haske khilkhilaane mei ab to darr lagta hai.
Pal do pal ki muskurahat k baad chhin jaata h sab,
ab to is khushi ke pal se bhi darr lagta hai.

Kuch paane se pehle use kho dene ka darr lagta hai.
Use kho dene se jyada use bhuladene ka darr lagta hai.
Banaadete hain log anjaana pal bhar mei hi,
ab to kisiko bhi apna bnaane se darr lagta hai.

Gairon ki dushmani ni, apno ki nafrat se darr lagta hai.
Is anjaan si duniya mei akele chalne se darr lagta hai.
Dukh de jaate hain log 'Apno' ke mukhaute mei,
ab to apno se dil ki baat karne mei bhi darr lagta hai.

Sunahere sapne ke waqt neend tootjane se darr lagta hai.
Aankhein khulte hi is sachhai ko apnaane se darr lagta hai.
Bahut hain umeedein mujhse aur bahut hain sapne,
Un sab ke toot jaane ke khyaal se hi darr lagta hai.

Dil ki baatein kisiko bataane mei darr lagta hai.
Kisiko bhi apna banane mei darr lagta hai.
Ye falsafa hai mera aur meri hai kahaani,
Is baat ko bhi apnaane mei ab to darr lagta hai.

Thursday, June 9, 2016

Ankahi Kahaani

Chal tujhe aaj ek kahani sunaata hu,
Us kahaani mei tujhe ek pari se milaata hu,
Aayi hai vo kahin door jannat se,
Isiliye use hi bas main apne khwaabon mei sajaata hu.

Aaj milaata hu tjhe haseen ek pari se,
Jisse judgya hai dil ye mera ek kadi se.
Rehti hai vo kahin door jahaan mei,
Befikar udti hai vo is khulle aasmaan mei.

Uski har adaa jaise fursat se taraashi gyi hai,
Uski ye bholi si soorat, jaise motiyon se nakaashi gyi hai.
Khushboo ye uski kuch aisi hai faili,
Ki saansein bhi meri kch behek si gayin hain.

Uska aana jaise khuda ka ek tohfa sa hai,
Mjhse milna jaise rab ka ek ishaara sa hai,
Bhoola tha main apne aap ko hi kahin,
Uske ehsaas ne jinda mujhme kuch kiya sa hai.

Uski muskuraahat jaise ek hawa si hai,
Isi hawa mei roj main bahaa karta hu,
Uska chehra jaise ek raushni si hai,
Usi raushni mei roj jiya main krta hu.

Uske hone ka ehsaas hi mere jeene k liye kaafi hai,
Uska ek hath hi mere sambhalne k liye kaafi hai,
Hui jo usse kabhi koi khataa agar,
Us khata ke liye, us khuda se bhi usko maafi hai.

Ekdin usne mujhse sawaal ek kiya tha,
Ghabrate hue sharmate hue mere dil ko chhooliya tha,
Vo boli haseen chehre to bht h is jahaan mei, 
fir maine apna dil bas use hi q diya tha?

M thoda muskuraaya, thoda sharmaaya, thoda ghabraaya
aur fir use samjhaaya:

Tere chehre se ni, tere dil se kch rishta sa hai,
Tu us uparvaale ka, pyaara ek farishta sa hai,
Teri khoobsurti hai bemisaal maana ye maine bhi,
Par meri in aankhon mei bas ek tera chehra hi jachta hai.

Koi sarhad ni tujhse pyaar nibhaane ke liye,
Puri duniya bhi hai kam apna pyaar dikhane ke liye,
Teri aankh se ek aansu bhi jo gira kbhi,
Apni jaan bhi dedunga tere hothon pr hasi sajaane k liye.

Mere khwaabon mei tera chehra ye roj aata hai,
Tere aate hi mera dil bhi ye fir so na paata hai,
Jo keh ni sakta tere saamne main kbhi,
Vo saari baatein tujhe apne sapne mei btata hai.

Aankh khulte hi tu kahin chala sa jaata hai,
Fir dil ye mera reh tanha sa jaata hai,
Rehjaati hain sirf teri baatein aur yaadein,
Sab mere hath se fisal sa jaata hai.

Bas ek chhoti si khwaaish thi meri,
Tu hmesha bankar rahe bas meri,
Maanga jo tune mujhse ye jahan bhi,
Tere kadmo mei hogi, duniya ye meri.

Ye kehne ki himmat bhi na thi mujhme kabhi,
Kehta hu tujhse main bas yahi,
Kardena maaf is massom se dil ko,
Tujhe chahne ki khataa jo isne ki hai abhi.