Sunday, June 24, 2018

Yaad karliya karta hu...

Haseen tha vo waqt jab Raat ko neend chein ki aaya karti thi,
Ab sirf kal Subha ki daud ki taiyaari kiya karta hu...
Khushi alag hi ek nayi Subha ki hoti thi,
Ab sirf shaam dhalne ka intejaar kiya karta hu...
Boldiya karta tha har ek baat tab main kisise bhi,
Ab sahi waqt ka intejaar main kiya karta hu...
Kamjori tab sirf ek shareer ke liye hua Karti thi,
Aaj apne jajbaaton se khilvaad main kiya karta hu...
Tab mere gaaon ki mitti mei bhi ek alag hi mehak hua karti thi,
Ab is sheher ki dhool se door bhaag jaaya main karta hu...
Hoti thi hazaar baatein Aur dost bhi anginat tab,
Ab baatein to hain par sunane k liye doston ka intejaar main kiya karta hu...
Tab bojh sirf school ke basste ka hua karta tha,
Aaj jimmedaariyon ko apne sath lekar main chalta hu...
Tab dikhti thi chot to sabke saamne ro liya main karta tha,
Ab chhupi hua dard lekar akele Mei Mann halka karliya karta hu...
Tab darr tha Raat ke andhere Mei kahin kho jaane ka,
Ab din ke ujaale mei bhi kho main kahin jaaya karta hu...
Tab maa baap ki shakal dekhe bina sukoon ni milta tha,
Aaj unko dekhkar chhup main jaaya karta hu...
Sukoon bhara tha har ek pal jab koi fikar ni kisiki thi,
Ab sirf unko yaad karke khush main ho liya karta hu...

Kahan gye vo din, unhe yaad main bahut kiya karta hu...